ae arz-e-watan ham sharminda hain:
tare fasurda chahre ko khoon-e-wafa se roshan kar na sake
tare chahre ki ra’nayi ko noor-e-mohabbat se muzzayyan kar na sake
ham sharminda hain k teray taqaddus ki hefazat kar na sake
tu jis ki musthiq thi, tujh se wo mohabbat kar na sake
teri fizaoon me dor-e-mohabbat ko arzaan na kar sake
teray chahre ko noor-e-wafa se firozaan na kar sake
haq to ye tha k kat jate teri azmat par
luta detay apni janein teri hurmat par
par ham to teray taqaddus he ka inkar kar gaye
teray fakhar ko aghyaar k samne sharamsar kar gaye
ae arz-e-watan ham sharminda hain…ham sharminda hain